Aise logo ke liye apni feelings ko control karo | ब्रेकअप के बाद कैसे संभाले | ब्रेकअप हो जाए तो क्या करें?

Hello friends mein hun Sohail khan or me is post mein btane wala hun Aapni Feelings ko control kese kare, aaj hum is topic per baat karne wale hai post Pasand aaye toh comment karke jarur btana .


Ek baat batane ja raha hu, Dhyaan se sunna, kaam ayegi.

Aise logo ke liye apni feelings ko control karo, 

efforts karna band karo, unke aagey rona bigdgidana band kardo.


Jo log aapse baat kare bagair khush hain, jinhein fark nahi padta 

chahein aap se baat ho chahein na ho, jo hafte guzar jayein aur 

palat ke ek message bhi nahi karte aapko.


Tum apni feelings se baar baar kamzor nahi padh sakte, 

apni feelings ko apni kamzori mat banao, 

yahi feelings tumhein sahi aur galat mein pehchaan 

karne se rokti hain, sahi faisle lene se rokti hain, 

aur tumhari sufferings bhi badhati hain.


Agar kuch galat ho raha hai aur bhagwaan baar baar sings 

bhej raha hai to unhein nazarandaaz karna band karo 

ye baat tum khud bhi jaante ho.

Hum zarur kisi insaan ke saath ek rishta shuru karte hain par 

halaat jab hadd se zyada bigad jayein, aur wo rishte humari 

zindagi mein zeher gholne ke alawa kuch aur na kar rahe ho, 

toh unhi rishto ko khatm bhi karna padta hai.


Sach humesha kadhva hota hai, par sach toh sach hai, 

na chah ke bhi vishwaas karna padta hai.

Thank You.

    ये भी पढ़े |

Read More:-

Post a Comment

Previous Post Next Post